Here goes the words -
Unhe qissa-e-gham jo likhne ko baithe
To dekhe kalam ki rawaani mein aansoon
Ye anmol taare, ye ulfat ke moti
Unhe humne bheje nishaani mein aansoon...
Unhe hum kahaani sunane na paye
Unhe daag dil ke dikhane na paye
Ye aansoon hamare bade kaam aaye
Zubaan ban gaye be-zubaani mein aansoon...
Na samjho ke aansoon hai gham ki kahaani
Ye aansoon hai ulfat ki pehli nishaani
Muqaddar ke qaatib ka kitna karam hai
Ke likkhe hai meri kahaani mein aansoon...
Zamane mein taqdeer sab ki judaa hai
Tujhe kuchh mila hai, mujhe kuchh mila hai
Udhar hai teri zindagi mein khushiyan
Idhar hai meri zindagi mein aansoon...
Unhein qissa-e-gham jo likhne ko baithe
To dekhe kalam ki rawaani mein aansoon.
Still marvelling at - zubaan ban gaye be-zubaani mein aansoon!
No comments:
Post a Comment